Zafrani Herbal Ubton
100% Natural Ubton
Ye khas herbal ubton mukammal tor par natural ajza se tayyar kiya gaya hai۔ Is mein sandal, orange ke chhilky, haldi, husn e yousaf, zafran aur dusre mufeed qudrati اجزا shamil hain jo skin ko naturally saaf, narm aur chamakdar banane mein madad dete hain۔ Ye mard o aurat dono ke liye mufeed hai، khaas tor par un afrad ke liye jin ki shadi qareeb ho۔
Ajza (Ingredients)
- Sandal
- Orange ke chhilky
- Haldi
- Husn e Yousaf
- Zafran
- Mukhtalif qudrati jari bootiyaan
Fayde (Benefits)
- Skin ko gehrai se saaf karta hai
- Rangat ko nikhar deta hai
- Skin ko chamakdar aur fresh banata hai
- Daagh dhabbe kam karne mein madad deta hai
- Mail aur dead skin ko remove karta hai
- Skin ko narm aur mulayam banata hai
- Bridal glow lane mein mufeed
- Chehre aur jism dono ke liye behtareen
- Skin tone ko even banane mein madadgar
- Natural freshness aur glow deta hai
Tarika Istemal (How to Use)
Dry Skin ke liye:
- 1 tablespoon ya hasb e zarorat ubton lein
- Is mein raw milk mila kar paste bana lein
- Paste ko chehre ya jism par lagayein
Oily Skin ke liye:
- Ubton powder ko arq e gulab mein mix kar ke paste bana lein
- Paste ko skin par achi tarah apply karein
Istemal ka Mukammal Tariqa:
- 15 minutes tak ubton ko laga rehne dein
- Jab halka dry ho jaye to hathon se ahista ahista rub karein
- Thora thora pani laga kar halka massage karein
- 15 minutes massage karne ke baad pani se dho lein
Jar Size: 100 Grams
Regular istemal se skin saaf، fresh، glowing aur healthy nazar aati hai۔